hath diya is ne mere hath mein
main to wali ban gaya ek raat mein
ishq karoge to kamaoge nam
tohmaten baTti nahin KHairaat mein
ishq buri shai sahi par dosto
daKHl na do tum meri har baat mein
mujh pe tawajjoh hai sab aafat ki
koi kashish to hai meri zat mein
rah-numa tha mera ek samri
kho gaya main shahr-e-tilismat mein
mujh ko laga aam sa ek aadmi
aaya wo jab kaam ke auqat mein
sham ki gul-rang hawa kya chali
dard mahakne laga jazbaat mein
hath mein kaghaz ki liye chhatriyan
ghar se na nikla karo barsat mein
rabt baDhaya na 'qatil' is liye
farq tha donon ke KHayalat mein
Ghazal
Hath diya isne mere hath mein
Qateel Shifai