اردو हिंदी
Hath aata to nahin kuchh pa taqaza kar aaen | Shaahi Shayari
hath aata to nahin kuchh pa taqaza kar aaen

Ghazal

Hath aata to nahin kuchh pa taqaza kar aaen

Shariq Kaifi

;

hath aata to nahin kuchh pa taqaza kar aaen
aur ek bar gali ka teri phera kar aaen

nind ke waste waise bhi zaruri hai thakan
pyas bhaDkaen kisi sae ka pichha kar aaen

lutf deti hai masihai par itna bhi nahin
josh mein apne hi bimar ko achchha kar aaen

log mahfil mein bulate hue katraate the
ab nahin dhaDka ye KHud se ki kahan kya kar aaen

kash mil jae kahin phir wahi aaina-sifat
naqsh be-rabt bahut hain inhen chehra kar aaen

kitni aasani se hum us ko bhula sakte hain
bas kisi tarah use dusron jaisa kar aaen

ye bhi mumkin hai ki hum haar se bachne ke liye
apne dushman ke kisi war mein hissa kar aaen

baat mazi ko alag rakh ke bhi ho sakti hai
ab jo haalat hain un par kabhi charcha kar aaen

ye bata kar ki ye raunaq to zara der ki hai
sahib-e-bazm ke haijaan ko ThanDa kar aaen

kya wajud us ka agar koi tawajjoh hi na de
hum ki jab chahen use bhiD ka hissa kar aaen