hath aa saka hai silsila-e-jism-o-jaan kahan
apni talab mein ghum chuka hun kahan kahan
jis bazm mein gaya talab-e-sar-KHushi liye
mujh se tere KHayal ne puchha yahan kahan
main aaj bhi KHala mein hun kal bhi KHala mein tha
mere liye zamin kahan aasman kahan
tu hai so apne husn ke ba-wasf gham-nasib
main hun to mere hath mein kaun-o-makan kahan
hoti hai ek dushmani o dosti ki had
is had ke baad zahmat-e-lafz-o-bayan kahan
rah-e-junun mein tesha-ba-dast aa gaya hun main
har sang hai giran magar itna giran kahan
ab chhoDiye tasawwur-e-zulf-o-mizha 'sahar'
dasht-e-gham-e-jahan mein koi saeban kahan
Ghazal
Hath aa saka hai silsila-e-jism-o-jaan kahan
Sahar Ansari