hasil kabhi jo us ki mohabbat na ho hamein
pal-bhar ki bhi hayat mein rahat na ho hamein
shikwe jo tum se hain wo tawaqqoa ke sath hain
ummid gar na ho to shikayat na ho hamein
jazbaatiyat mein tark-e-talluq to kar chuke
kal apne faisle pe nadamat na ho hamein
ye aur baat hai ki labon se nahin ayan
ye to nahin ki tum se mohabbat na ho hamein
neamat ki tarah dil pe lage hain tumhaare zaKHm
kafir kaho jo Tis mein rahat na ho hamein
kahte nahin zaban se 'athar-shakil' hum
ye to nahin ki gham se aziyyat na ho hamein
Ghazal
Hasil kabhi jo uski mohabbat na ho hamein
athar shakeel