اردو हिंदी
Hasil-e-umr hai jo ek kasak baqi hai | Shaahi Shayari
hasil-e-umr hai jo ek kasak baqi hai

Ghazal

Hasil-e-umr hai jo ek kasak baqi hai

Shakeel Jazib

;

hasil-e-umr hai jo ek kasak baqi hai
meri sanson mein abhi teri mahak baqi hai

mujh se kya chhin saka tu ki abhi tak mere
panw ke niche zamin sar pe falak baqi hai

phir tujhe aur mujhe aur kahin jaana hai
ham-safar sath to chal jitni saDak baqi hai

ye koi kam to nahin dost juda ho kar bhi
apne lahje mein shikayat ki jhalak baqi hai

is se behtar tha mujhe rah-nashini ka yaqin
kaisi manzil hai pahunchne pe bhi shak baqi hai

teri har sham sitaron se sajaana hai mujhe
jab tak aankhon pe meri ek bhi palak baqi hai