اردو हिंदी
Hasil-e-ilm-e-bashar jahl ka irfan hona | Shaahi Shayari
hasil-e-ilm-e-bashar jahl ka irfan hona

Ghazal

Hasil-e-ilm-e-bashar jahl ka irfan hona

Fani Badayuni

;

hasil-e-ilm-e-bashar jahl ka irfan hona
umr bhar aql se sikha kiye nadan hona

chaar zanjir-e-anasir pe hai zindan mauquf
wahshat-e-ishq zara silsila-e-jumban hona

jama karta hun gireban ke nikale hue tar
yaad aaya hai mujhe sar-ba-gareban hona

dil bas ek larzish-e-paiham hai sarapa yani
tere aaina ko aata nahin hairan hona

fal-afzudni-e-mushkil hai har aasani-e-kar
meri mushkil ko mubarak nahin aasan hona

rahat-e-anjam-e-gham aur raht-e-duniya malum
likh diya dil ke muqaddar mein pareshan hona

de tera husn-e-taghaful jise hai chahe fareb
warna tu aur jafaon pe pashiman hona

hae wo jalwa-e-aiman wo nigah-e-sar-e-tur
fitna-saman se tera fitna-e-saman hona

KHak-e-'fani' ki qasam hai tujhe ai dasht-e-junun
kis se sikha tere zarron ne bayaban hona