اردو हिंदी
Hasil-e-gham yahi samajhte hain | Shaahi Shayari
hasil-e-gham yahi samajhte hain

Ghazal

Hasil-e-gham yahi samajhte hain

Anwar Sabri

;

hasil-e-gham yahi samajhte hain
maut ko zindagi samajhte hain

jis ko tere alam se nisbat hai
hum usi ko KHushi samajhte hain

tum sitam mein kami na farmao
hum ise dushmani samajhte hain

hum charaghon mein chand taron ke
aap ki raushni samajhte hain

shaiKH ji hain farishton ke ustad
aap unhen aadmi samajhte hain

husn-e-mauzun ke zikr ko 'anwar'
maqsad-e-shairi samajhte hain