اردو हिंदी
Hashiye par kuchh haqiqat kuchh fasana KHwab ka | Shaahi Shayari
hashiye par kuchh haqiqat kuchh fasana KHwab ka

Ghazal

Hashiye par kuchh haqiqat kuchh fasana KHwab ka

Shahid Mahuli

;

hashiye par kuchh haqiqat kuchh fasana KHwab ka
ek adhura sa hai KHaka zindagi ke bab ka

rang sab dhundla gae hain sab lakiren miT gain
aks hai be-pairahan us paikar-e-nayab ka

zarra zarra dasht ka mange hai ab bhi KHun-baha
munh chhupae ro raha hai qatra qatra aab ka

sanp ban kar Das rahi hain sab tamannaen yahan
karwan aa kar kahan Thahra dil-e-be-tab ka

koh-e-tanhai ka 'shahid' zarra zarra TuTna
para para ho gaya hai ab jigar simab ka