haare hue logon ki kahani ki tarah hain
hum log bhi bahte hue pani ki tarah hain
duniya tere hone ka yaqin kyun nahin karti
hum bhi to yahan teri nishani ki tarah hain
chupke se guzarte hain KHabar bhi nahin hoti
din raat bhi kam-baKHt jawani ki tarah hain
gar nam kamana hai tumhein itna samajh lo
aansu bhi mohabbat ki nishani ki tarah hain
is bar hai hona bhi na hone ke barabar
is bar to hum jaise kahani ki tarah hain
Ghazal
Haare hue logon ki kahani ki tarah hain
Azlan shah