اردو हिंदी
Hanpti naddi mein dam TuTa hua tha lahr ka | Shaahi Shayari
hanpti naddi mein dam TuTa hua tha lahr ka

Ghazal

Hanpti naddi mein dam TuTa hua tha lahr ka

Aftab Iqbal Shamim

;

hanpti naddi mein dam TuTa hua tha lahr ka
waqia hai ye september ki kisi sah-pahr ka

sarsarahaT rengte lamhe ki sarkanDon mein thi
tha nasha sari faza mein naginon ke zahr ka

thi sadaf mein raushni ki bund tharrai hui
jism ke andar kahin dhaDka laga tha qahr ka

dil mein thin aise fasad-amada dil ki dhaDkanen
ho bhara balwaiyon se chauk jaise shahr ka

aasman utra kinaron ko milane ke liye
ye bhi phir dekha ki pal TuTa hua tha nahr ka

aish-e-be-miad milti par kahan milti tujhe
meri miTTi ki mahak mein shaiba hai dahr ka