اردو हिंदी
Han ye taufiq kabhi mujhko KHuda deta tha | Shaahi Shayari
han ye taufiq kabhi mujhko KHuda deta tha

Ghazal

Han ye taufiq kabhi mujhko KHuda deta tha

Ameer Qazalbash

;

han ye taufiq kabhi mujh ko KHuda deta tha
nekiyan kar ke main dariya mein baha deta tha

tha usi bhiD mein wo mera shanasa tha bahut
jo mujhe mujh se bichhaDne ki dua deta tha

us ki nazron mein tha jalta hua manzar kaisa
KHud jalai hui shamon ko bujha deta tha

aag mein lipTa hua hadd-e-nazar tak sahil
hausla Dubne walon ka baDha deta tha

yaad rahta tha nigahon ko har ek KHwab magar
zehn har KHwab ki tabir bhula deta tha

kyun parindon ne daraKHton pe basera na kiya
kaun guzre hue mausam ka pata deta tha