اردو हिंदी
Han wahi ishq-o-mohabbat ki jila hoti hai | Shaahi Shayari
han wahi ishq-o-mohabbat ki jila hoti hai

Ghazal

Han wahi ishq-o-mohabbat ki jila hoti hai

Fana bulandshahri

;

han wahi ishq-o-mohabbat ki jila hoti hai
jo ibaadat dar-e-jaanan pe ada hoti hai

jo giraftar-e-mohabbat hain ye un se puchho
naz kya chiz hai kya chiz ada hoti hai

un ki nazron ki haqiqat ko koi kya jaane
un ki nazron mein har ek gham ki dawa hoti hai

kyun na chehre pe malun KHak-e-dar-e-yar ko main
yahi wo KHak hai jo KHak-e-shifa hoti hai

raegan sajde bhi ho jate hain maqbul-e-karam
shamil-e-haal agar un ki raza hoti hai

jaane kya chiz chhupi hai tere jalwon mein sanam
sari duniya tere jalwon pe fida hoti hai

main bhi hun ek inayat ki nazar ka talib
tere kuche mein marizon ko shifa hoti hai

un ke maiKHane ko chhu aati hai jab fasl-e-bahaar
phul khil jate hain masti mein hawa hoti hai

ai 'fana' milta hai aashiq ko baqa ka paigham
zindagi jab rah-e-ulfat mein fana hoti hai