اردو हिंदी
Han usi din dhup mein haryaliyan shamil huin | Shaahi Shayari
han usi din dhup mein haryaliyan shamil huin

Ghazal

Han usi din dhup mein haryaliyan shamil huin

Aftab Iqbal Shamim

;

han usi din dhup mein haryaliyan shamil huin
is zamin ki zardiyon mein laliyan shamil huin

baad-e-azadi mein hum sab nachne walon ke sath
phul pahne raqs karti Daliyan shamil huin

bu-e-gul se jaaniye kyun bu-e-KHun aane lagi
bagh mein jab se teri rakhwaliyan shamil huin

qahr to us waqt TuTa tha saf-e-ada mein jab
chashm-o-lab se qatl karne waliyan shamil huin

KHair ko shar aur shar ko KHair karne mein yahan
jaaniye kin kin ki bad-amaliyan shamil huin

itna pyara ho gaya hun doston ko kya kahun
jab bhi mera zikr aaya galiyan shamil huin