han nahin ke bich dhundlai si sham
sae sae mein hai shabnam sa qayam
chehre aankhen honT hanste hain tamam
basti basti tohmat-e-awara-gam
raushni ki bazyabi aaftab
TuTne wale sitare tera nam
harf-o-lab malum samton ke naqib
dil safir-e-na-gahan samt-e-kalam
kainat-e-lams maujud-o-adam
kuchh na hona bhi hua itna tamam
Ghazal
Han nahin ke bich dhundlai si sham
Ahsan Yusuf Zai