han mahfil-e-yaran mein aisa bhi maqam aaya
main KHud ko bhula baiTha jab bhi tera nam aaya
main apne hi paikar se is darja pareshan tha
socha ki bikhar jaun jab bhi tah-e-dam aaya
duniya mein hazaron hain mansur bhi sarmad bhi
kyun lauh-e-sadaqat par ek mera hi nam aaya
kya jism ke zindan se aazad kiya mujh ko
kya koi sar-e-maqtal yaro mere kaam aaya
har shaKHs ke chehre par ek karb ka manzar hai
shayad lab-e-geti par taKHrib ka nam aaya
Ghazal
Han mahfil-e-yaran mein aisa bhi maqam aaya
Jawed Manzar