han jise aashiqi nahin aati
lazzat-e-zindagi nahin aati
jaise us ka kabhi ye ghar hi na tha
dil mein barson KHushi nahin aati
jab se bulbul asir-e-dam hui
kisi gul ko hansi nahin aati
sab sharabi mujhe kahen tujh ko
sharm ai be-KHudi nahin aati
yun to aati hain saikDon baaten
waqt par ek bhi nahin aati
sochta kya hai pi bhi le zahid
kuchh qayamat abhi nahin aati
intiha gham ki is ko kahte hain
zaKHm ko bhi hansi nahin aati
kaundti hai hazar rang se barq
phir bhi shoKHi teri nahin aati
sarf jab tak na KHun-e-dil ho 'jalil'
rang par shaeri nahin aati
Ghazal
Han jise aashiqi nahin aati
Jaleel Manikpuri