han did ka iqrar agar ho to abhi ho
aur yun ho ki didar agar ho to abhi ho
taqdir se Darta hun ki phir mat na palaT jae
tum dil ke KHaridar agar ho to abhi ho
didar ko kal kah ke qayamat pe wo Talen
aur shauq ka israr agar ho to abhi ho
badla hua har ahd naya lata hai paigham
ye kya ki har iqrar agar ho to abhi ho
aa lene to do 'arzu' aazar mein lazzat
tum nam se bezar agar ho to abhi ho
Ghazal
Han did ka iqrar agar ho to abhi ho
Arzoo Lakhnavi