han abhi kuchh der pahle sher ki gunji thi dhaD
ab to sannaTa hai shayad ho chuki ho chir-phaD
jism se pahra haTa ye khurduri khaalen udheD
KHun ki jhaDu se phir in haDDiyon ki gard jhaD
zehan mein jab koi shirin ka tasawwur aa gaya
sar pe teshon ko uThae dauDte aae pahaD
wahshaten tarikiyan ruswaiyan barbaadiyan
hae ummidon ki basti aur phir itni ujaD
justuju ki dhup mein jo chalte chalte mar gae
un ki lashon ko uTha kar nim ke sae mein gaD
raat bhar ThanDe thapeDe dastaken dete rahe
subh tak jage na the soe hue tere kiwaD

Ghazal
Han abhi kuchh der pahle sher ki gunji thi dhaD
Rasheed Afroz