haalat use dil ki na dikhai na zaban ki
KHair us ne na ki baat to hum ne bhi kahan ki
pahle to hansa zor se phir aah-o-fughan ki
masti mein qalandar ne baDi dur ki han ki
allah ka banda koi ghar se nahin nikla
tafsir sabhi karte rahe kaun-o-makan ki
ek us ka sarapa hai ki bas mein nahin aata
kya ho gai haalat mere andaz-e-bayan ki
ek ek sitamgar ko tasawwur mein bula kar
shamshir-e-zaban hum ne bhi kal KHub rawan ki
tufan-e-maani mere har lafz ke pichhe
tezi hai har ek sher mein dilli ki zaban ki
sahra-e-adam ka bhi 'shuja' KHub maza hai
tum sochte rahte ho faqat gulshan-e-jaan ki
Ghazal
Haalat use dil ki na dikhai na zaban ki
Shuja Khaavar