haalat-e-haal main kya ro ke sunaun tujh ko
tu nazar aae to palkon pe biThaun tujh ko
KHud ko is hosh mein madhosh banane ke liye
aayat-e-husn paDhun dekhta jaun tujh ko
tu nahin manta miTTi ka dhuan ho jaana
to abhi raqs karun ho ke dikhaun tujh ko
kar liya ek mohabbat pe guzara main ne
chahta tha ki main pura bhi to aaun tujh ko
ab mera ishq dhamalon se kahin aage hai
ab zaruri hai ki main wajd mein laun tujh ko
kyun kisi aur ki aankhon ka qasida likkhun
kyun kisi aur ki midhat se jalaun tujh ko
ain mumkin hai tere ishq mein zam ho jaun
aur phir dhyan ki jannat mein na laun tujh ko
us ne ek bar mujhe pyar se bola tha 'said'
mera dil hai kabhi sine se lagaun tujh ko
Ghazal
Haalat-e-haal main kya ro ke sunaun tujhko
Mubashshir Saeed