haalat se farar ki kya justuju karen
juz ye ki sheher-e-dar mein jashn-e-subu karen
aao ilaj-e-talKHi-e-kaam-o-gulu karen
kuchh der shughl-e-jam rahe guftugu karen
apne karam se kya wo hamein surKH-ru karen
hum aise bad-mizaj ki dil ko lahu karen
pahchan bhi na paenge aap apni shakl ko
TuTa hai dil ka aaina kya ru-ba-ru karen
kuchh faisla na ho saka ab ki bahaar mein
daman ko tar tar karen ya rafu karen
dast-e-junun to ban chuka mashshata-e-chaman
pa-e-junun se dasht ko ab surKH-ru karen
dar mai-kade ka band haram ka charagh gul
KHun-e-jigar piyen ki lahu se wazu karen
kya din the dil ki baaton se milta tha jab sukun
patthar se kis umid pe ab guftugu karen
wo motiyon se karte hain munh shairon ka band
aise mein kya hum apne ko be-abru karen
kis ko dimagh-e-fikr kise fursat-e-suKHan
phir kis liye zamane ko apna udu karen
'wamiq' se iltifat ka matlab yahi to hai
kuchh der sher-wer sunen ha-o-hu karen
Ghazal
Haalat se farar ki kya justuju karen
Wamiq Jaunpuri