haalat meri rah mein hail to nahin the
is zindagi mein itne masail to nahin the
ye aaj achanak hui kyun hum pe tawajjoh
wo lutf-o-karam pe kabhi mail to nahin the
ek dusre se dur nikal aae hain hum log
hum bhi kabhi ye fasle hail to nahin the
tu ne hamein shayad ghalat andaz se socha
hum tere tamannai the sail to nahin the
ab mo'taqid-e-gardish-e-haalat hain warna
hum gardish-e-haalat ke qail to nahin the
chehre pe masarrat ki jhalak KHub thi lekin
aasar gham-o-dard ke zail to nahin the
ek kushta-e-haalat ki kuchh aas bandhain
logon mein magar aise KHasail to nahin the
jin kohna rusumat mein hum jakDe hue hain
un kohna rusumat ke qail to nahin the
jina baDa mushkil tha magar phir bhi jiye 'arsh'
jine ke liye itne wasael to nahin the
Ghazal
Haalat meri rah mein hail to nahin the
Arsh Sahbai