haalat ki ujDi mahfil mein ab koi sulagta saz nahin
naghme to lapakte hain lekin shoalon sa kahin andaz nahin
har barg-e-hasin ko dete hain zaKHmon ke mahakte nazrane
kanTon se baDa is gulshan mein phulon ka koi dam-saz nahin
ya saya-e-gul ka hai ye karam ya farq hai dane pani ka
panchhi to wahi hain gulshan mein pahli si magar parwaz nahin
marqad sa bana hai KHushbu ka munh band kali ke sine mein
ai sham-e-gulistan tu hi bata ye bhi to kisi ka raaz nahin
chhilke na subu aur jhum uThen qatra na mile aur pyas bujhe
ye zarf hai pine walon ka saqi ka koi eajaz nahin
ai sehn-e-chaman ke zindani kar jashn-e-tarab ki tayyari
bajte hain bahaaron ke kangan zanjir ki ye aawaz nahin
Ghazal
Haalat ki ujDi mahfil mein ab koi sulagta saz nahin
Qateel Shifai