اردو हिंदी
Haalat ki bhigi raat bhi hai jazbaat ka tez alaw bhi | Shaahi Shayari
haalat ki bhigi raat bhi hai jazbaat ka tez alaw bhi

Ghazal

Haalat ki bhigi raat bhi hai jazbaat ka tez alaw bhi

Qateel Shifai

;

haalat ki bhigi raat bhi hai jazbaat ka tez alaw bhi
main kaun si aag mein jal jaun ai nukta-waro samjhao bhi

har-chand nazar ne jhele hain har bar sunahre ghaw bhi
hum aaj bhi dhoka kha lenge tum bhes badal kar aao bhi

girdab ke KHunin halqon se jab khel chuki hai naw bhi
patwar badalna kya mani? mallahon ko samjhao bhi

be-kaif jhakole kanTon ko shadab to kya kar paenge
jo phul paDe hain rahon mein un phulon ko mahkao bhi

hum se to jafaon ke shikwe tum hans kar chhin bhi sakte ho
hum dil ko pasheman kar lenge tum pyar se aankh jhukao bhi

gul-rang charaghon ki lau se tarik ujale phuT bahe
har taq mein ghor andhera hai is rang-mahal ko Dhao bhi