haalat ke qadmon pe qalandar nahin girta
TuTe bhi jo tara to zamin par nahin girta
girte hain samundar mein baDe shauq se dariya
lekin kisi dariya mein samundar nahin girta
samjho wahan phaldar shajar koi nahin hai
wo sahn ki jis mein koi patthar nahin girta
itna to hua faeda barish ki kami ka
is shahr mein ab koi phisal kar nahin girta
inam ke lalach mein likhe madh kisi ki
itna to kabhi koi suKHan-war nahin girta
hairan hai kai roz se Thahra hua pani
talab mein ab kyun koi kankar nahin girta
us banda-e-KHuddar pe nabiyon ka hai saya
jo bhuk mein bhi luqma-e-tar par nahin girta
karna hai jo sar marka-e-zist to sun le
be-bazu-e-haidar dar-e-KHaibar nahin girta
qaem hai 'qatil' ab ye mere sar ke sutun par
bhaunchaal bhi aae to mera ghar nahin girta
Ghazal
Haalat ke qadmon pe qalandar nahin girta
Qateel Shifai