haalat ke kohna dar-o-diwar se niklen
duniya ko badalna hai to ghar-bar se niklen
nakaam sadaon ke hain aaseb yahan par
is dasht-e-tamanna se to raftar se niklen
jin mein ho mohabbat ka uKHuwwat ka ishaara
paigham kuchh aise bhi to aKHbar se niklen
duniya bhi to ban sakti hai jannat ka namuna
hum apni ana apne hi pindar se niklen
jo haqq-o-sadaqat ka sabaq bhul gae hain
wo kaise bhala waqt ke aazar se niklen
hum ne bhi bahaaron ko lahu apna diya hai
ab hum se hi kahte ho ki gulzar se niklen
is darja taghaful hai to hum ne bhi ye socha
ummid-e-karam hasrat-e-didar se niklen
har ek qadam par hai yahan jaan ka KHatra
ab soch samajh kar zara bazar se niklen
aage hi nikalna hai jo 'shayan' se un ko
aKHlaq se aamal se kirdar se niklen
Ghazal
Haalat ke kohna dar-o-diwar se niklen
Shayan Quraishi