اردو हिंदी
Haalat ab to itne dushwar ho gae hain | Shaahi Shayari
haalat ab to itne dushwar ho gae hain

Ghazal

Haalat ab to itne dushwar ho gae hain

Nazeer Siddiqui

;

haalat ab to itne dushwar ho gae hain
hum nim-shab mein akasr bedar ho gae hain

jo log sada-dil the purkar ho gae hain
ab aadmi ke rishte dushwar ho gae hain

ye zindagi ki neamat kis ko nahin hai pyari
mat puchh is se hum kyun bezar ho gae hain

usrat mein jin ka shewa kal tak tha KHud-faroshi
daulat ke milte hi wo KHuddar ho gae hain

dushman ko ho gaya hai andaza kuchh hamara
dushman se hum bhi lekin hoshyar ho gae hain

matam nahin munasib ab jaan ke jahan ka
dasht-e-talab ke raste hamwar ho gae hain