اردو हिंदी
Haalanki pahle din se kaha ja raha hun main | Shaahi Shayari
haalanki pahle din se kaha ja raha hun main

Ghazal

Haalanki pahle din se kaha ja raha hun main

Liaqat Jafri

;

haalanki pahle din se kaha ja raha hun main
lekin kahan kisi ko suna ja raha hun main

lachaar o bad-hawas ghane jangalon ke bich
dariya ke sath sath chala ja raha hun main

pachhta rahe hain sab mera pinjar nikal kar
diwar mein dobara chuna ja raha hun main

haalanki pahle sae se rahti thi kashmakash
ab apne bojh se hi daba ja raha hun main

tere sambhaalne se bhi pakDi na main ne aag
ab aur bhi ziyaada bujha ja raha hun main

pahle-pahal to KHud se hi mansub the ye ashk
ab us ki aankh se bhi baha ja raha hun main

ye din bhi kaisa saKHt shikanja hai 'jafari'
ab jis pe sari raat kasa ja raha hun main