haal puchha na kare hath milaya na kare
main isi dhup mein KHush hun koi saya na kare
main bhi aaKHir hun isi dasht ka rahne wala
kaise majnun se kahun KHak uDaya na kare
aaina mere shab o roz se waqif hi nahin
kaun hun kya hun mujhe yaad dilaya na kare
ain-mumkin hai chali jae samaat meri
dil se kahiye ki bahut shor machaya na kare
mujh se raston ka bichhaDna nahin dekha jata
mujh se milne wo kisi moD pe aaya na kare
Ghazal
Haal puchha na kare hath milaya na kare
Kashif Husain Ghair