haal na puchho roz-o-shab ka koi anokhi baat nahin
din ko kaise raat kahen hum raat bhi ab to raat nahin
lagne ko to sehn-e-chaman mein donon achchhe lagte hain
kanTon mein jo apna-pan hai phulon mein wo baat nahin
dil se bhula to den hum un ko lekin is ko kya kije
sadiyon ki rudad bhulana apne bas ki baat nahin
gulshan gulshan shaKH o shajar par roz nasheman jalte hain
kis ne kaha tha mausam badla agle se haalat nahin
ek zara si baat pe kyun hai itna hangama 'mumtaz'
shisha-e-dil hi to TuTa hai aur to koi baat nahin
Ghazal
Haal na puchho roz-o-shab ka koi anokhi baat nahin
Mumtaz Mirza