haal mein apne magan ho fikr-e-ainda na ho
ye usi insan se mumkin hai jo zinda na ho
kam se kam harf-e-tamanna ki saza itni to de
jurat-e-jurm-e-suKHan bhi mujh ko aainda na ho
be-gunahi jurm tha apna so is koshish mein hun
sruKH-ru main bhi rahun qatil bhi sharminda na ho
zulmaton ki madh-KHwani aur is andaz se
ye kisi parwarda-e-shab ka numainda na ho
main bahar-surat tera karb-e-taghaful sah gaya
ab mujhe is ka sila de sirf sharminda na ho
zindagi tishna bhi hai be-rang bhi lekin 'surur'
jab talak chehra farogh-e-mai se tabinda na ho
Ghazal
Haal mein apne magan ho fikr-e-ainda na ho
Suroor Barabankvi