haal-e-poshida khula saman-e-ibrat dekh kar
paDh liya qismat ka likkha lauh-e-turbat dekh kar
is qadar be-KHud hua aasar-e-wahshat dekh kar
aaina se nam puchha apni surat dekh kar
dekhiye mahshar mein bhi surat dikhae ya nahin
subah bhagi hai shab-e-hijran ki zulmat dekh kar
jam-e-kausar dast-e-saqi mein nazar aaya mujhe
uTh gaya aankhon ka parda abr-e-rahmat dekh kar
raat din ke maKHmase se ai junun pai najat
ablaq-e-ayyam bhaga meri wahshat dekh kar
tere kuche mein tera jalwa nazar aaya mujhe
sane-e-jannat ko dekha bagh-e-jannat dekh kar
munh hamara jalwa-e-didar ke laeq kahan
apni surat dekhte hain teri surat dekh kar
chaar diwar-e-anasir par safedi phir gai
aankhen raushan ho gain teri sabahat dekh kar
wahshat-e-dil hashr ke din bhi rahe kawus talab
kanTe DhunDhe hum ne sahra-e-qayamat dekh kar
chahchahe bulbul ke aawaz-e-kaf-e-afsos hon
rang-e-gul uD jae mera dagh-e-hasrat dekh kar
abr udhar aaya idhar mai-KHwaron ka beDa hai par
kashti-e-mai mol ke dariya-e-rahmat dekh kar
aansu ponchhe yaad aaya jab jawani ka maza
aankhen malte rah gae hum KHwab-e-rahat dekh kar
barahman kaba mein aaya shaiKH pahuncha dair mein
log be-wahdat hoe hain teri kasrat dekh kar
har ghaDi aati hai kanon mein ye aawaz-e-jaras
kaun duniya se safar karta hai saat dekh kar
nashsha ke asbab-e-tazin mein bhi nashsha hai zarur
meri aankhen chaDh gain mai-KHane ki chhat dekh kar
ab nahin nazuk-mizaji se tawajjoh ka dimagh
ai ajal aana kabhi hangam-e-fursat dekh kar
wo muwahhid hun na rakkha dusre se ittihad
ruh ne chhoDa badan ko zidd-e-wahdat dekh kar
KHun-e-bulbul se magar sincha hai bagh-e-dahr ko
hum lahu barsate hain phulon ki rangat dekh kar
tere bande sar jhukate hain buton ke samne
sajde karta hun ilahi teri qudarat dekh kar
zaKHmi-e-tegh-e-taghaful par nazar jamti nahin
chashm-e-sozan band hoti hai jarahat dekh kar
ji laga kar ye ghazal kis tarah kahiye ai 'munir'
bujh gaya dil kuch-e-manzil ki azimat dekh kar
Ghazal
Haal-e-poshida khula saman-e-ibrat dekh kar
Muneer Shikohabadi