اردو हिंदी
Haal-e-dil main suna nahin sakta | Shaahi Shayari
haal-e-dil main suna nahin sakta

Ghazal

Haal-e-dil main suna nahin sakta

Akbar Allahabadi

;

haal-e-dil main suna nahin sakta
lafz mana ko pa nahin sakta

ishq nazuk-mizaj hai behad
aql ka bojh uTha nahin sakta

hosh aarif ki hai yahi pahchan
ki KHudi mein sama nahin sakta

ponchh sakta hai ham-nashin aansu
dagh-e-dil ko miTa nahin sakta

mujh ko hairat hai us ki qudrat par
alam us ko ghaTa nahin sakta