haal-e-dil kahne ko kahte ho to kab tum mujh ko
hae jis waqt nahin tab-e-takallum mujh ko
KHak ho kar bhi wahi hasrat-e-pa-bos rahi
ho gai mauj-e-saba mauj-e-talatum mujh ko
zoaf se haal ye patla hai rah-e-ulfat mein
sail-e-girya pe bhi hasil hai taqaddum mujh ko
kahte hain zikr-e-shab-e-wasl pe kya jaaniye kyun
kabhi sharm aur kabhi aata hai tabassum mujh ko
moajiza hazrat-e-isa ka tha be-shubah durust
ki main duniya se gaya uTh jo kaha qum mujh ko
sail-e-girya ki badaulat ye hua ghar ka haal
KHak tak bhi na mili bahar-e-tayammum mujh ko
un ko gin gin ke shab-e-hijr basar hoti hai
tare aankhon ke na kyun howen ye anjum mujh ko
hai gazi gaDha hi 'kaifi' ka shiar aur wisar
nahin darkar hai ye atlas-o-qaqum mujh ko
Ghazal
Haal-e-dil kahne ko kahte ho to kab tum mujhko
Dattatriya Kaifi