haal-e-dil-e-tabah kisi ne suna kahan
puchhe magar koi to lab-e-muddaa kahan
tai kar raha hun KHwab-o-haqiqat ke fasle
mana ki main kahan teri aawaz-e-pa kahan
aalam tamam pairahan-e-tar-tar hai
mahshar sukut-e-nim-shabi ka uTha kahan
wo dard justuju-e-gul-e-naghma thi jise
KHud apne reg-zar mein gum ho gaya kahan
is darja be-ruKHi pe pasheman na ho koi
KHud mujh ko ehtiram-e-shuur-e-wafa kahan

Ghazal
Haal-e-dil-e-tabah kisi ne suna kahan
Syed Amin Ashraf