haal-e-dil-e-be-qarar hai aur
shayad ki KHayal-e-yar hai aur
ai dida na ro ki tujh par ek shab
ranj-e-shab-e-intizar hai aur
jaga hai kahin magar tu di-shab
aankhon mein teri KHumar hai aur
farhad ne dekhte hi gulgun
jaana tha ki ye sawar hai aur
kuche mein tere meri nigah ka
har gosha umid-war hai aur
hai aaKHir-e-umr is chaman mein
do chaar hi din bahaar hai aur
nawak ka tere shikar-gah mein
har goshe naya shikar hai aur
wo hum se kare hai kal ka wada
auron se wahan qarar hai aur
kya lale se nisbat us ko sach hai
dagh-e-dil-e-daghdar hai aur
auron sa na jaan mujh ko pyare
ye aashiq-e-jaan-nisar hai aur
ai 'mushafi' is mein chup hi rah tu
sunta hai ye rozgar hai aur
Ghazal
Haal-e-dil-e-be-qarar hai aur
Mushafi Ghulam Hamdani

