haal-e-dil ai buto KHuda jaane
sach hai sach is ko ghair kya jaane
lutf-e-ashaar puchh shair se
bewafai wo bewafa jaane
phuT kar mahfilon mein rote ho
dil ka ahwal koi kya jaane
saKHt koi ghazal main pata hun
nazuki mera dil-ruba jaane
lakh mein faisla chukate ho
muddai kyun na muddaa jaane
maraz-e-ishq mein asar hoga
mera har sher wo dawa jaane
aaj behosh ho gaya 'aKHtar'
kya hua kya hua KHuda jaane

Ghazal
Haal-e-dil ai buto KHuda jaane
Wajid Ali Shah Akhtar