hail thi bich mein jo razai tamam shab
is gham se hum ko nind na aai tamam shab
ki yas se hawas ne laDai tamam shab
tum ne to KHub rah dikhai tamam shab
phir bhi to KHatm ho na saki aarzu ki baat
har chand hum ne un ko sunai tamam shab
bebak milte hi jo hue hum to sharm se
aankh us pari ne phir na milai tamam shab
dil KHub jaanta hai ki tum kis KHayal se
karte rahe adu ki burai tamam shab
phir sham hi se kyun wo chale the chhuDa ke hath
dukhti rahi jo un ki kalai tamam shab
'hasrat' se kuchh wo aate hi aise hue KHafa
phir ho saki na un se safai tamam shab
Ghazal
Hail thi bich mein jo razai tamam shab
Hasrat Mohani