اردو हिंदी
Hail hai hijab-e-sharm-o-haya didar to kya guftar to kya | Shaahi Shayari
hail hai hijab-e-sharm-o-haya didar to kya guftar to kya

Ghazal

Hail hai hijab-e-sharm-o-haya didar to kya guftar to kya

Mohammad Abid Ali Abid

;

hail hai hijab-e-sharm-o-haya didar to kya guftar to kya
mubham hain ishaare sab us ke inkar to kya iqrar to kya

altaf-o-karam ki barish bhi jo mujh pe kare sansar to kya
jab us ne na puchha haal mera daryaft karen aghyar to kya

hai dar-ba-dari qismat meri shorida-sari tu hi le chal
taskin-e-dil-e-mahzun ke liye gulzar to kya kohsar to kya

hain azm-e-musafir ke aage KHatraat masafat hech bahut
manzil ki talab hai dil mein agar ho rahguzar dushwar to kya

tang aa ke mohabbat tark na ki hum garche rahe nakaam sada
sarshaar the lazzat-e-hasrat-o-gham se hote bhala bezar to kya