hail dilon ki rah mein kuchh to ana bhi hai
ghafil samajh raha hai wahi ba-wafa bhi hai
aadat buri hai gham mein sahaaron ki dosto
tanha sulagte rahne ka apna maza bhi hai
hum ne baDe hi pyar se rishte sajae the
ab tum kaho ki rishton mein kya kuchh bacha bhi hai
ek rabt-e-mustaqil hai isi rahguzar ke sath
jis rahguzar pe qafla-e-dil luTa bhi hai
hum rahrawan-e-shahr-e-tamanna ko kya pata
manzil rah-e-talab se kahan tak juda bhi hai
hai aaine mein aks mera zahiri magar
baatin mein jhankiye ki wo mujh se juda bhi hai
mazlum-e-husn hun so na tanha samajh mujhe
jis ka nahin hai koi to us ka KHuda bhi hai
be-KHauf banTte raho zulmat mein nur tum
apni tapish se kya koi jugnu jala bhi hai
paDhiye mujhe saliqe se phir sochiye janab
kya dard-e-mustaqil hai maraz la-dawa bhi hai
'zakir' ye taj-o-taKHt hai mansub un ke nam
jin ke saron pe saya-e-baal-e-huma bhi hai
Ghazal
Hail dilon ki rah mein kuchh to ana bhi hai
Zakir Khan Zakir