hae us shoKH ka andaz se aana shab-e-wasl
aur rah rah ke wo ehsan jatana shab-e-wasl
qahr hai zahr hai aghyar ko lana shab-e-wasl
aise aane se to behtar hai na aana shab-e-wasl
dur koson meri baalin se uDi phirti hai
kya koi DhunD liya aur Thikana shab-e-wasl
hasil us zikr-e-taghaful se guzasht aanche guzasht
faeda fitna-e-KHufta ko jagana shab-e-wasl
ye lagawaT to raqibon ke raqibon se rahe
ab kabhi aa ke mujhe munh na dikhana shab-e-wasl
Ghazal
Hae us shoKH ka andaz se aana shab-e-wasl
Zaheer Dehlvi