hae urdu ye siyasat teri jagir ke sath
koi 'ghaalib' ka taraf-dar koi 'mir' ke sath
zindagi ek safar KHauf ki zanjir ke sath
maut ek KHwab-e-giran hashr ki tabir ke sath
har ada husn ki mahfuz hai tasir ke sath
bolti chalti thirakti hui taswir ke sath
zabt ki had se guzar kar bhi dua karta hun
shikwa-bar-lab hun magar jazba-e-tamir ke sath
jaani-pahchani hui shakl bhi mubham si lage
zindagi ka ye fusun apni hi taswir ke sath
ab to Thokar bhi lage to nahin uThti jhankar
pahle aawaz thi har jumbish-e-zanjir ke sath
dida-e-said se aagah na dil se waqif
ajnabi kaun hai tarkash mein tere tir ke sath
apni qismat ke jo malik hain ye un se puchho
rabt tadbir ko hota hai jo taqdir ke sath
faiz-e-mausam hi sahi sehr-e-taghayyur hi sahi
barq girti hai magar aah ki tasir ke sath
apni taswir se ek ishq sa hota hai 'matin'
ye junun aur fuzun hota tashhir ke sath
Ghazal
Hae urdu ye siyasat teri jagir ke sath
Matin Niazi