اردو हिंदी
Hae re pyari pyari aankh | Shaahi Shayari
hae re pyari pyari aankh

Ghazal

Hae re pyari pyari aankh

Asar Lakhnavi

;

hae re pyari pyari aankh
matwali rat-nari aankhen

ghaarat-e-dil par TuT paDi hai
shyam-nagar ki kumari aankhen

us ghaDi dekho in ka aalam
nind se jab hon bhaari aankhen

zahr kabhi hain aur kabhi amrit
un ki bai bai aankhen

jin ko jhapakna yaad nahin hai
hairat ki hain wo mari aankhen

takti hain ab tak rah kisi ki
subh o sham shikari aankhen

kaun 'asar' ki nazar mein samae
dekhi hai us ne tumhaari aankhen