اردو हिंदी
Hae logon ki karam-farmaiyan | Shaahi Shayari
hae logon ki karam-farmaiyan

Ghazal

Hae logon ki karam-farmaiyan

Kaif Bhopali

;

hae logon ki karam-farmaiyan
tohmaten badnamiyan ruswaiyan

zindagi shayad isi ka nam hai
duriyan majburiyan tanhaiyan

kya zamane mein yun hi kaTti hai raat
karwaTen betabiyan angDaiyan

kya yahi hoti hai sham-e-intizar
aahaTen ghabrahaTen parchhaiyan

ek rind-e-mast ki Thokar mein hain
shahiyan sultaniyan daraiyan

ek paikar mein simaT kar rah gain
KHubiyan zebaiyan ranaiyan

rah gain ek tifl-e-maktab ke huzur
hikmaten aagahiyan danaiyan

zaKHm dil ke phir hare karne lagin
badliyan barkha ruten purwaiyan

dida-o-danista un ke samne
laghzishen nakaamiyan paspaiyan

mere dil ki dhaDkanon mein Dhal gain
chuDiyan mausiqiyan shahnaiyan

un se mil kar aur bhi kuchh baDh gain
uljhanen fikren qayas-araiyan

'kaif' paida kar samundar ki tarah
wusaten KHamoshiyan gahraiyan