hae kaisi wo sham hoti hai
dastan jab tamam hoti hai
ye to baaten hain sirf zahid ki
kahin mai bhi haram hoti hai
sham-e-furqat ki uljhanen tauba
kis ghazab ki ye sham hoti hai
ishq mein aur qarar kya mani
zindagi tak haram hoti hai
ho ke aati hai jab udhar se saba
kitni nazuk-KHiram hoti hai
ye tasadduq hai un ki zulfon ka
meri har subh sham hoti hai
jab bhi hoti hain jannaten taqsim
hur zahid ke nam hoti hai
lamhe aate hain wo bhi ulfat mein
jab KHamoshi kalam hoti hai
pine wala ho gar to saqi ki
har nazar daur-e-jam hoti hai
har ada hum ada-shanason ki
zindagi ka payam hoti hai
waqt Thahra hua sa hai 'naushad'
na sahar aur na sham hoti hai
Ghazal
Hae kaisi wo sham hoti hai
Naushad Ali