hae ek shaKHs jise hum ne bhulaya bhi nahin
yaad aane ki tarah yaad wo aaya bhi nahin
jaane kis moD pe le aai hamein teri talab
sar pe suraj bhi nahin rah mein saya bhi nahin
wajh-e-ruswai-e-ehsas hua hai kya kya
hae wo lafz jo lab tak mere aaya bhi nahin
ai mohabbat ye sitam kya ki juda hun KHud se
koi aisa mere nazdik to aaya bhi nahin
ya hamein zulf ke sae hi mein nind aati thi
ya mayassar kisi diwar ka saya bhi nahin
bar-ha dil teri qurbat se dhaDak uTTha hai
go abhi waqt mohabbat mein wo aaya bhi nahin
aap us shaKHs ko kya kahiye ki jis ne 'ummid'
gham diya gham ko dil-azar banaya bhi nahin
Ghazal
Hae ek shaKHs jise humne bhulaya bhi nahin
Ummeed Fazli