اردو हिंदी
Hae dam bhar bhi dil Thahar na saka | Shaahi Shayari
hae dam bhar bhi dil Thahar na saka

Ghazal

Hae dam bhar bhi dil Thahar na saka

Jaleel Manikpuri

;

hae dam bhar bhi dil Thahar na saka
hath sine pe koi dhar na saka

aaina kis se dekha jata hai
rashk ke mare wo sanwar na saka

rah gaya aankh mein nazakat se
dil mein naqsha tera utar na saka

wusat-e-zarf se raha mahrum
jam mera kisi se bhar na saka

is jahan se guzar gae lakhon
is gali se koi guzar na saka

mai-kashi se najat mushkil hai
mai ka Duba kabhi ubhar na saka

ashk jari the yaad-e-gesu mein
raat bhar qafila Thahar na saka

mausam-e-gul mein bhi 'jalil' afsos
daman apna gulon se bhar na saka