hae ab kaun lagi dil ki bujhane aae
jin se ummid thi aur aag lagane aae
dard-mandon ki yun hi karte hain hamdardi log
KHub hans hans ke hamein aap rulane aae
KHat mein likhte hain ki fursat nahin aane ki hamein
is ka matlab to ye hai koi manane aae
aankh nichi na hui bazm-e-adu mein ja kar
ye DhiTai ki nazar hum se milane aae
tane be-sabr yun ke hae tashaffi ke ewaz
aur dikhte hue dil ko wo dukhane aae
aur to sab ke liye hai teri mahfil mein jagah
hum jo baiThen abhi darban uThane aae
chuTkiyan lene ko pahlu mein raha ek na ek
tu nahin to tere arman satane aae
bekasi ka to jala dil meri turbat pe 'hafiz'
kya hua wo na agar shama jalane aae
Ghazal
Hae ab kaun lagi dil ki bujhane aae
Hafeez Jaunpuri