hadson ka silsila manzar-ba-manzar jam gaya
har kisi ke dhaD pe ek firaun ka sar jam gaya
KHak ki kashti tale sone ka saghar jam gaya
dida-e-be-KHwab mein KHwab-e-sikandar jam gaya
mausamon ke bich ki duri ka andaza lagao
bah gae parbat pighal kar aur samundar jam gaya
laDkhaDa kar gir paDi unchi imarat dafatan
dafatan tamir ki kursi pe khanDar jam gaya
rifat-e-charKH-e-barin mahdud ho kar rah gai
jab saron par dhund ka saffak lashkar jam gaya
dida-e-gurba se kya phuTi shua-e-jaan-guza
phaDphaDaya tak nahin zinda kabutar jam gaya
ahl-e-duniya se mujhe to koi andesha na tha
nam tera kis liye mere labon par jam gaya
Ghazal
Hadson ka silsila manzar-ba-manzar jam gaya
Ehteram Islam