hadse zer-o-bam pech-o-KHam rah dekh
gah chal gah ruk gah muD gah dekh
tul-e-fihrist-e-hajat kuchh rahm kar
meri mushkil samajh meri tanKHwah dekh
buz-dilon ki tarah chhup ke hamla na kar
apne dushman ko bhi kar ke aagah dekh
jis ko aana na ho wo nahin aaega
ek do din nahin chaar chhe mah dekh
apni auqat ka jaeza le zara
us ki zebaish-o-mansab-o-jah dekh
kuchh tamiz uyub-e-mahasin nahin
hai nazar teri kis darja kotah dekh
Ghazal
Hadse zer-o-bam pech-o-KHam rah dekh
Ashfaq Rehbar